jo chehra auron ki KHatir KHabar mein rahta hai
jo chehra auron ki KHatir KHabar mein rahta hai
Anmol Savaran Katib
MORE BYAnmol Savaran Katib
jo chehra auroñ kī ḳhātir ḳhabar meñ rahtā hai
mire liye vahī chehra jigar meñ rahtā hai
Thahar gayā maiñ to us husn kī galī meñ ab
sabab to har ghaḌī merī nazar meñ rahtā hai
jise bhī dekho kahe chāñd hai merā mahbūb
jahāñ meñ kyā hai jo koī qamar meñ rahtā hai
ajiib shahar hai terā kisī kī suntā nahīñ
yahāñ pe jhūTh kā qissa safar meñ rahtā hai
panāh dil meñ hai le lī sabhī ke 'kātib' ne
kalām us kā sabhī ke jigar meñ rahtā hai
jo chehra auron ki KHatir KHabar mein rahta hai
mere liye wahi chehra jigar mein rahta hai
Thahar gaya main to us husn ki gali mein ab
sabab to har ghaDi meri nazar mein rahta hai
jise bhi dekho kahe chand hai mera mahbub
jahan mein kya hai jo koi qamar mein rahta hai
ajib shahar hai tera kisi ki sunta nahin
yahan pe jhuTh ka qissa safar mein rahta hai
panah dil mein hai le li sabhi ke 'katib' ne
kalam us ka sabhi ke jigar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.