jo dagh ban ke tamanna tamam ho jae
jo daaġh ban ke tamannā tamām ho jaa.e
hameñ to ḳhuun bhī ronā harām ho jaa.e
shabāb-e-dard mirī zindagī kī sub.h sahī
piyūñ sharāb yahāñ tak ki shaam ho jaa.e
yahī hai maslahat intihā-e-rāz 'aḳhtar'
jahāñ meñ rasm-e-mohabbat na aam ho jaa.e
jo dagh ban ke tamanna tamam ho jae
hamein to KHun bhi rona haram ho jae
shabab-e-dard meri zindagi ki subh sahi
piyun sharab yahan tak ki sham ho jae
yahi hai maslahat intiha-e-raaz 'aKHtar'
jahan mein rasm-e-mohabbat na aam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.