jo dam huqqe ka dun bole ki main huqqa nahin pita
![Mushafi Ghulam Hamdani Mushafi Ghulam Hamdani](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/mushafi-ghulam-hamdani.png)
jo dam huqqe ka dun bole ki main huqqa nahin pita
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
jo dam huqqe kā duuñ bole ki maiñ huqqā nahīñ piitā
bharūñ jaldī se gar sulfā kahe sulfā nahīñ piitā
ḳhudā ke vāste kar tū hī saaqī us kī dildārī
ki mere haath se mai yār-e-be-parvā nahīñ piitā
agarche mai-kada mā'mūr hai lekin tirā kaifī
ba-rañg-e-gul ba-juz yak-sāġhar-e-sahbā nahīñ piitā
maiñ ālī-himmatī kā us kī banda huuñ ki jo mai-kash
nahīñ maltī jo mai, to bhañg aur buuzā nahīñ piitā
vazīr-ul-mulk kā az-bas-ki mai-e-noshāñ pe qadġhan hai
bajā.e mai, hai vo yaañ kaun jo katthā nahīñ piitā
lab-e-sofār meñ surḳhī kahāñ se us ke aa.ī hai?
jo terā tiir pyāre ḳhūn-e-dil merā nahīñ piitā
kisī ne ye fusūñ kuchh paḌh ke us kāfir pe maarā hai
ki in rozoñ vo paanī bhī mire ghar kā nahīñ piitā
piye hai is tarah dīvāna mal mal taak ke patte
ki tiryākī bhī yuuñ afyūn kā gholā nahīñ piitā
kahe hai mujh se yuuñ hamdam ki rut lāhan kī aa.ī hai
vale kyā fā.eda tujh ko, tū Dar Tharrā nahīñ piitā
chale hai roz ġhairoñ ke gale par teġh-e-tez us kī
lahū ke ghoñT kis din āshiq-e-shaidā nahīñ piitā
sharāb-e-dostgānī kā qadah rakh haath par apne
kahā maiñ ne jo pī us ko, vo yuuñ bolā nahīñ piitā
nahīñ miltā vo jo shīrīñ-dahan ai 'mus.hafī' tujh ko
tū us ke hijr meñ kyuuñ zahr kā pyālā nahīñ piitā
jo dam huqqe ka dun bole ki main huqqa nahin pita
bharun jaldi se gar sulfa kahe sulfa nahin pita
KHuda ke waste kar tu hi saqi us ki dildari
ki mere hath se mai yar-e-be-parwa nahin pita
agarche mai-kada ma'mur hai lekin tera kaifi
ba-rang-e-gul ba-juz yak-saghar-e-sahba nahin pita
main aali-himmati ka us ki banda hun ki jo mai-kash
nahin malti jo mai, to bhang aur buza nahin pita
wazir-ul-mulk ka az-bas-ki mai-e-noshan pe qadghan hai
bajae mai, hai wo yan kaun jo kattha nahin pita
lab-e-sofar mein surKHi kahan se us ke aai hai?
jo tera tir pyare KHun-e-dil mera nahin pita
kisi ne ye fusun kuchh paDh ke us kafir pe mara hai
ki in rozon wo pani bhi mere ghar ka nahin pita
piye hai is tarah diwana mal mal tak ke patte
ki tiryaki bhi yun afyun ka ghola nahin pita
kahe hai mujh se yun hamdam ki rut lahan ki aai hai
wale kya faeda tujh ko, tu Dar Tharra nahin pita
chale hai roz ghairon ke gale par tegh-e-tez us ki
lahu ke ghonT kis din aashiq-e-shaida nahin pita
sharab-e-dostgani ka qadah rakh hath par apne
kaha main ne jo pi us ko, wo yun bola nahin pita
nahin milta wo jo shirin-dahan ai 'mushafi' tujh ko
tu us ke hijr mein kyun zahr ka pyala nahin pita
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.