jo dard-e-dil kaho aahista bolo
jo dard-e-dil kaho āhista bolo
ḳhushī se ġham saho āhista bolo
fuġhāñ karnā bhī jurm-e-āshiqī hai
baḌe chaukas raho āhista bolo
tumhārī aah bhī hai bār-e-ḳhātir
takallum ke shaho āhista bolo
dar-o-dīvār bhī hote haiñ jāsūs
koī suntā na ho āhista bolo
ab āh-e-zer-e-lab hai bazm kī rasm
isī rau meñ baho āhista bolo
sirhāne dil hī dil meñ baat karnā
hamāre dil-daho āhista bolo
sadā sar phoḌ kar aa.egī vāpas
yahī chābuk saho āhista bolo
jo dard-e-dil kaho aahista bolo
KHushi se gham saho aahista bolo
fughan karna bhi jurm-e-ashiqi hai
baDe chaukas raho aahista bolo
tumhaari aah bhi hai bar-e-KHatir
takallum ke shaho aahista bolo
dar-o-diwar bhi hote hain jasus
koi sunta na ho aahista bolo
ab aah-e-zer-e-lab hai bazm ki rasm
isi rau mein baho aahista bolo
sirhane dil hi dil mein baat karna
hamare dil-daho aahista bolo
sada sar phoD kar aaegi wapas
yahi chabuk saho aahista bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.