jo dasht-e-tamanna mein har waqt bhaTakta hai
jo dasht-e-tamannā meñ har vaqt bhaTaktā hai
insān kā dil aisā mā'sūm parinda hai
ik ḳhaak kā tuuda hai par azmat-e-duniyā hai
naqqāsh-e-haqīqat ne kyā naqsh tarāshā hai
maiñ auroñ ko kyā parkhūñ ā.īna-e-'ālam meñ
muhtāj-e-shanāsā.ī jab apnā hī chehrā hai
ham apnī haqīqat kyā pahchān sakeñ yaaro
parda hai nigāhoñ pe zehnoñ meñ dhuñdalkā hai
soz-e-ġham-e-hastī se 'vāhid' tirī nas nas meñ
ye garm lahū kyā hai bahtā huā laavā hai
jo dasht-e-tamanna mein har waqt bhaTakta hai
insan ka dil aisa ma'sum parinda hai
ek KHak ka tuda hai par azmat-e-duniya hai
naqqash-e-haqiqat ne kya naqsh tarasha hai
main auron ko kya parkhun aaina-e-'alam mein
muhtaj-e-shanasai jab apna hi chehra hai
hum apni haqiqat kya pahchan saken yaro
parda hai nigahon pe zehnon mein dhundalka hai
soz-e-gham-e-hasti se 'wahid' teri nas nas mein
ye garm lahu kya hai bahta hua lawa hai
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 440)
- Author : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj,New Delhi-110002
- Publication : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.