jo dil mein hai wahi bahar dikhai deta hai
jo dil meñ hai vahī bāhar dikhā.ī detā hai
ab ār-pār ye patthar dikhā.ī detā hai
jo apne aap se laḌne ko baḌhtā hai aage
lahū meñ apne vahī tar dikhā.ī detā hai
tamām ḳhalq ko patthar banā gayā koī
mujhe ye ḳhvāb ab aksar dikhā.ī detā hai
zamīn saath mirā chhoḌtī hai jab to falak
jhukā huā mire sar par dikhā.ī detā hai
jo dil mein hai wahi bahar dikhai deta hai
ab aar-par ye patthar dikhai deta hai
jo apne aap se laDne ko baDhta hai aage
lahu mein apne wahi tar dikhai deta hai
tamam KHalq ko patthar bana gaya koi
mujhe ye KHwab ab aksar dikhai deta hai
zamin sath mera chhoDti hai jab to falak
jhuka hua mere sar par dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.