jo dil mein hain dagh jal rahe hain
jo dil meñ haiñ daaġh jal rahe haiñ
masjid meñ charāġh jal rahe haiñ
jis aag se dil sulag rahe the
ab us se dimāġh jal rahe haiñ
bachpan mirā jin meñ kheltā thā
vo khet vo baaġh jal rahe haiñ
chehre pe hañsī kī raushnī hai
āñkhoñ meñ charāġh jal rahe haiñ
rastoñ meñ vo aag lag ga.ī hai
qadmoñ ke surāġh jal rahe haiñ
jo dil mein hain dagh jal rahe hain
masjid mein charagh jal rahe hain
jis aag se dil sulag rahe the
ab us se dimagh jal rahe hain
bachpan mera jin mein khelta tha
wo khet wo bagh jal rahe hain
chehre pe hansi ki raushni hai
aankhon mein charagh jal rahe hain
raston mein wo aag lag gai hai
qadmon ke suragh jal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.