jo dil mein jagi wahi talab hai
jo dil meñ jaagī vahī talab hai
ḳhushī hamārī baḌī talab hai
kahāñ huā hai sukūñ mayassar
abhī bhī ham ko tirī talab hai
kamāl dukh hai na.ī mohabbat
na.e dinoñ kī na.ī talab hai
vo mujh se uktā gayā hai kab kā
use kahāñ ab mirī talab hai
ye dil jise sab ujāḌte haiñ
ḳhudā kī bhejī huī talab hai
hamāre hoñToñ ko jaan 'kishvar’'
duā meñ Duubī hañsī talab hai
jo dil mein jagi wahi talab hai
KHushi hamari baDi talab hai
kahan hua hai sukun mayassar
abhi bhi hum ko teri talab hai
kamal dukh hai nai mohabbat
nae dinon ki nai talab hai
wo mujh se ukta gaya hai kab ka
use kahan ab meri talab hai
ye dil jise sab ujaDte hain
KHuda ki bheji hui talab hai
hamare honTon ko jaan 'kishwar’'
dua mein Dubi hansi talab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.