jo dil mein rawan hai riwayat nahin hai
jo dil meñ ravāñ hai rivāyat nahīñ hai
ye sach hai mohabbat suhūlat nahīñ hai
tumheñ bhuul jaane kī koshish bahut hai
agarche bhulāne kī tāqat nahīñ hai
mujhe us ne chhoḌā mirā dil bhī toḌā
mujhe is pe koī bhī hairat nahīñ hai
na pindār merā yuuñ karte fanā tum
ki ab ġham uThāne kī himmat nahīñ hai
zarūrat Thikāne lagā dī hai 'kishvar''
mujhe ab tumhārī zarūrat nahīñ hai
jo dil mein rawan hai riwayat nahin hai
ye sach hai mohabbat suhulat nahin hai
tumhein bhul jaane ki koshish bahut hai
agarche bhulane ki taqat nahin hai
mujhe us ne chhoDa mera dil bhi toDa
mujhe is pe koi bhi hairat nahin hai
na pindar mera yun karte fana tum
ki ab gham uThane ki himmat nahin hai
zarurat Thikane laga di hai 'kishwar
mujhe ab tumhaari zarurat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.