jo dil ne kah di hai wo baat an-kahi bhi na thi
jo dil ne kah dī hai vo baat an-kahī bhī na thī
ye mauj to tah-e-dariyā kabhī rahī bhī na thī
jhukeñ jo sochtī palkeñ to merī duniyā ko
Dubo ga.ī vo nadī jo abhī bahī bhī na thī
sarak gayā koī saayā simaT gayā koī duur
kisī ke aks kī pyāsī kashish sahī bhī na thī
sunī jo baat koī an-sunī to yaad aayā
vo dil ki jis kī kahānī kabhī kahī bhī na thī
nagar nagar vahī āñkheñ pas-e-zamāñ pas-e-dar
mirī ḳhatā kī sazā umr-e-gumrahī bhī na thī
kisī kī ruuh tak ik fāsla ḳhayāl kā thā
kabhī kabhī to ye duurī rahī-sahī bhī na thī
nashe kī rau meñ ye jhalkā hai kyuuñ nashe kā shu.ūr
is aag meñ to koī āb-e-āgahī bhī na thī
ġhamoñ kī raakh se 'amjad' vo ġham tulūa hue
jinheñ nasīb ik āh-e-sahr-e-gahī bhī na thī
jo dil ne kah di hai wo baat an-kahi bhi na thi
ye mauj to tah-e-dariya kabhi rahi bhi na thi
jhuken jo sochti palken to meri duniya ko
Dubo gai wo nadi jo abhi bahi bhi na thi
sarak gaya koi saya simaT gaya koi dur
kisi ke aks ki pyasi kashish sahi bhi na thi
suni jo baat koi an-suni to yaad aaya
wo dil ki jis ki kahani kabhi kahi bhi na thi
nagar nagar wahi aankhen pas-e-zaman pas-e-dar
meri KHata ki saza umr-e-gumrahi bhi na thi
kisi ki ruh tak ek fasla KHayal ka tha
kabhi kabhi to ye duri rahi-sahi bhi na thi
nashe ki rau mein ye jhalka hai kyun nashe ka shuur
is aag mein to koi aab-e-agahi bhi na thi
ghamon ki rakh se 'amjad' wo gham tulua hue
jinhen nasib ek aah-e-sahr-e-gahi bhi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.