jo dil par zarb kari lag rahi hai
jo dil par zarb kaarī lag rahī hai
ye ḳhushbū bhī tumhārī lag rahī hai
tumhārī yaad meñ soyā huā huuñ
badan ko niiñd pyārī lag rahī hai
mohabbat ek lamhe meñ huī thī
ab is meñ umr saarī lag rahī hai
tumhāre dard par dil dukh rahā hai
tumhārī jaañ hamārī lag rahī hai
mire pahlū meñ baiThī ro.e jaa.e
shab-e-furqat kī maarī lag rahī hai
ki dil hāthoñ se niklā jā rahā hai
ye kaisī be-qarārī lag rahī hai
jo dil par zarb kari lag rahi hai
ye KHushbu bhi tumhaari lag rahi hai
tumhaari yaad mein soya hua hun
badan ko nind pyari lag rahi hai
mohabbat ek lamhe mein hui thi
ab is mein umr sari lag rahi hai
tumhaare dard par dil dukh raha hai
tumhaari jaan hamari lag rahi hai
mere pahlu mein baiThi roe jae
shab-e-furqat ki mari lag rahi hai
ki dil hathon se nikla ja raha hai
ye kaisi be-qarari lag rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.