jo dil saath chhuTne se ghabrā rahā hai
vo chhuTtā nahīñ aur paas aa rahā hai
hamesha ko phūle phalegā ye gulshan
abhī dekhne ko to murjhā rahā hai
har ik shaam kahtī hai phir sub.h hogī
añdhere meñ sūraj nazar aa rahā hai
baḌhī jā rahī hai agar dhuup aage
to saaya bhī dauḌā chalā jā rahā hai
sitāre baneñge chamakdār aañsū
ye ronā hañsī kī ḳhabar lā rahā hai
agar dukh nahīñ hai nahīñ phir hai sukh bhī
zamāna ye pahchān batlā rahā hai
thakan 'ārzū' kahtī hai rāste kī
ki ārām bhī saath saath aa rahā hai
jo dil sath chhuTne se ghabra raha hai
wo chhuTta nahin aur pas aa raha hai
hamesha ko phule phalega ye gulshan
abhi dekhne ko to murjha raha hai
har ek sham kahti hai phir subh hogi
andhere mein suraj nazar aa raha hai
baDhi ja rahi hai agar dhup aage
to saya bhi dauDa chala ja raha hai
sitare banenge chamakdar aansu
ye rona hansi ki KHabar la raha hai
agar dukh nahin hai nahin phir hai sukh bhi
zamana ye pahchan batla raha hai
thakan 'arzu' kahti hai raste ki
ki aaram bhi sath sath aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.