jo dukh diye the kabhi tumko aazmane ko
jo dukh diye the kabhī tum ko āzmāne ko
vo tiir ban ke palaT aa.e sab nishāne ko
tumhārā saath na hotā to be-amāñ hote
tumhārī chhāñv zarūrī thī āshiyāne ko
nahīñ hai ḳhauf ki nīchā dikhā.egī duniyā
jo saath tum raho jānāñ mujhe uThāne ko
jo maiñ ne apnī hī gudḌī meñ ḳhud ujāle haiñ
vahī haiñ la.al bahut zindagī sajāne ko
zarūrī hai ki rahe tāzgī mohabbat meñ
rifāqateñ na rahīñ va.ada ab nibhāne ko
jo tinke tinke jam.a kar ke āshiyāna bane
bas ek barq hai kaafī use jalāne ko
maqām-e-azmat-e-ādam samajh meñ aane lagā
farishte chūmne aate haiñ āstāne ko
hamāre baa'd bhī mahkā karegī bazm-e-tarab
agarche umr lagegī hameñ bhulāne ko
rahegī zinda mire baa'd dāstāñ merī
paḌheñge log hamesha mire fasāne ko
'karāmat' un ko zamāna salām kartā hai
jo nok-e-pā pe hī rakhte haiñ is zamāne ko
jo dukh diye the kabhi tum ko aazmane ko
wo tir ban ke palaT aae sab nishane ko
tumhaara sath na hota to be-aman hote
tumhaari chhanw zaruri thi aashiyane ko
nahin hai KHauf ki nicha dikhaegi duniya
jo sath tum raho jaanan mujhe uThane ko
jo main ne apni hi gudDi mein KHud ujale hain
wahi hain lal bahut zindagi sajaane ko
zaruri hai ki rahe tazgi mohabbat mein
rifaqaten na rahin wada ab nibhane ko
jo tinke tinke jama kar ke aashiyana bane
bas ek barq hai kafi use jalane ko
maqam-e-azmat-e-adam samajh mein aane laga
farishte chumne aate hain aastane ko
hamare ba'd bhi mahka karegi bazm-e-tarab
agarche umr lagegi hamein bhulane ko
rahegi zinda mere ba'd dastan meri
paDhenge log hamesha mere fasane ko
'karamat' un ko zamana salam karta hai
jo nok-e-pa pe hi rakhte hain is zamane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.