jo dushman hai use hamdam na samjho
jo dushman hai use hamdam na samjho
namak ko zaḳhm kā marham na samjho
sukūñ miltā hai dil se dil ko lekin
har ik sāġhar ko jām-e-jam na samjho
jo pī loge to miT jaanā paḌegā
ye hai zahrāb-e-ġham zamzam na samjho
tum apne dāman-e-hirs-o-havas ko
misāl-e-dāman-e-mariyam na samjho
na ho apnī ḳhatāoñ par jo nādim
use ham-mashrab-e-ādam na samjho
qarīna ye bhī hai iz.hār-e-ġham kā
tabassum ko harīf-e-ġham na samjho
hoñ zarre laakh raushan phir bhī un ko
javāb-e-nayyar-e-āzam na samjho
ghaTā ġham kī hai rū-e-zindagī par
fazā-e-gesū-e-barham na samjho
qayāmat haiñ 'azīz' un kī adā.eñ
kisī ko bhī kisī se kam na samjho
jo dushman hai use hamdam na samjho
namak ko zaKHm ka marham na samjho
sukun milta hai dil se dil ko lekin
har ek saghar ko jam-e-jam na samjho
jo pi loge to miT jaana paDega
ye hai zahrab-e-gham zamzam na samjho
tum apne daman-e-hirs-o-hawas ko
misal-e-daman-e-mariyam na samjho
na ho apni KHataon par jo nadim
use ham-mashrab-e-adam na samjho
qarina ye bhi hai izhaar-e-gham ka
tabassum ko harif-e-gham na samjho
hon zarre lakh raushan phir bhi un ko
jawab-e-nayyar-e-azam na samjho
ghaTa gham ki hai ru-e-zindagi par
faza-e-gesu-e-barham na samjho
qayamat hain 'aziz' un ki adaen
kisi ko bhi kisi se kam na samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.