jo faqat rahte hon din ko be-qarar
jo faqat rahte hoñ din ko be-qarār
mahvashoñ meñ kījiye un kā shumār
jis pe sahvan ho gayā merā nuzūl
zaat us kī ho ga.ī bas āb-dār
vo mirī sāñsoñ ke raste ho liyā
jo uThā dil se kabhī gard-o-ġhubār
ḳhāliq-e-kaunain se kyā vāsta
jab mirā kirdār Thahrā kirdgār
din ko huuñ maiñ garm shab ko sard huuñ
merī hastī kyā nahīñ hai reg-zār
kashmakash jaarī hai jo aflāk meñ
dekhiye hāsil ho kis ko eqtidār
aur bhī to haiñ yahāñ kitne muqīm
paañv dhartī par na tū itne pasār
maut se kah do na is meñ daḳhl de
ziist se hai rabt merā ustuvār
maut kā pahle hī partav dekh luuñ
dil ke darpan par hai us kā inhisār
ek sūkhā khet hai vo jis jagah
maiñ vahāñ huuñ āb-jū kā rahguzār
ye jo aalam hai kabhī ik des thā
is se kaT kar ban ga.e kitne dayār
ḳhaak huuñ yā mom huuñ kyā imtiyāz
sham-e-mahfil huuñ ki huuñ sham-e-mazār
habs ke zindān meñ rakkhā hai kyoñ
maiñ to zindānī nahīñ huuñ ai 'figār'
jo faqat rahte hon din ko be-qarar
mahwashon mein kijiye un ka shumar
jis pe sahwan ho gaya mera nuzul
zat us ki ho gai bas aab-dar
wo meri sanson ke raste ho liya
jo uTha dil se kabhi gard-o-ghubar
KHaliq-e-kaunain se kya wasta
jab mera kirdar Thahra kirdgar
din ko hun main garm shab ko sard hun
meri hasti kya nahin hai reg-zar
kashmakash jari hai jo aflak mein
dekhiye hasil ho kis ko eqtidar
aur bhi to hain yahan kitne muqim
panw dharti par na tu itne pasar
maut se kah do na is mein daKHl de
zist se hai rabt mera ustuwar
maut ka pahle hi partaw dekh lun
dil ke darpan par hai us ka inhisar
ek sukha khet hai wo jis jagah
main wahan hun aab-ju ka rahguzar
ye jo aalam hai kabhi ek des tha
is se kaT kar ban gae kitne dayar
KHak hun ya mom hun kya imtiyaz
sham-e-mahfil hun ki hun sham-e-mazar
habs ke zindan mein rakkha hai kyon
main to zindani nahin hun ai 'figar'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.