jo guzre hain mujh pe wo pal likh raha hun
jo guzre haiñ mujh pe vo pal likh rahā huuñ
maiñ apnī tarah se ġhazal likh rahā huuñ
nahīñ mujh ko mā'lūm taqdīr merī
maiñ apnī du'āoñ se kal likh rahā huuñ
kahīñ zindagī ko mohabbat likhā hai
kahīñ zindagī ko ajal likh rahā huuñ
nahīñ the muqaddar meñ jo tere 'āsim'
ḳhushī ke vo saare maiñ pal likh rahā huuñ
jo guzre hain mujh pe wo pal likh raha hun
main apni tarah se ghazal likh raha hun
nahin mujh ko ma'lum taqdir meri
main apni du'aon se kal likh raha hun
kahin zindagi ko mohabbat likha hai
kahin zindagi ko ajal likh raha hun
nahin the muqaddar mein jo tere 'asim'
KHushi ke wo sare main pal likh raha hun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.