jo hath apne sabze ka ghoDa laga
jo haath apne sabze kā ghoḌā lagā
to sulfe kā aur us ko koḌā lagā
mire hī jo baazū meñ ik niil sā
so tere hai paañv kā toḌā lagā
ajī chashm-e-bad-dūr nām-e-ḳhudā
tumheñ kyā bhalā surḳh joḌā lagā
bhalā aap sharmā.e kis vāste
kabūtar kā bāham jo joḌā lagā
ye dukhtī nigāhoñ se ghūrā mujhe
ki dukhne mire dil kā phoḌā lagā
lagī kahne 'inshā' ko shab vo parī
mujhe bhuut ho ye nigoḌā lagā
jo hath apne sabze ka ghoDa laga
to sulfe ka aur us ko koDa laga
mere hi jo bazu mein ek nil sa
so tere hai panw ka toDa laga
aji chashm-e-bad-dur nam-e-KHuda
tumhein kya bhala surKH joDa laga
bhala aap sharmae kis waste
kabutar ka baham jo joDa laga
ye dukhti nigahon se ghura mujhe
ki dukhne mere dil ka phoDa laga
lagi kahne 'insha' ko shab wo pari
mujhe bhut ho ye nigoDa laga
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.