jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin
jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin
Qadr Bilgrami
MORE BYQadr Bilgrami
jo hai 'arsh par vahī farsh par koī ḳhaas us kā makāñ nahīñ
vo yahāñ bhī hai vo vahāñ bhī hai vo kahīñ nahīñ vo kahāñ nahīñ
ye nasīb tere shahīd kā ki kamāl-e-shauq thā diid kā
jo gilā bhī hai to vo tar nahīñ jo chhurī bhī har to ravāñ nahīñ
maiñ vo sarv-e-bāġh-e-vajūd huuñ maiñ vo gul huuñ sham'-e-hayāt kā
jise fasl-e-gul kī ḳhushī nahīñ jise ranj-e-bād-e-ḳhizāñ nahīñ
jo uThe to siina ubhār kar jo chale to Thokareñ maar kar
na.e aap hī to javān haiñ koī kyā jahāñ meñ javāñ nahīñ
kidhar uḌ gayā mirā qāfila ki zamīn phaT ke samā gayā
na ġhubār uThā na jaras bajā kahīñ naqsh-e-pā kā nishāñ nahīñ
ye mai-e-farñg kī kashtiyāñ bhī safīna-hā-e-najāt haiñ
kabhī us kā beḌā na paar ho jo murīd-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ
uTho 'qadr' un pe na jaan do ajī jaan hai to jahān hai
koī kaam aisā bhī kartā hai are miyāñ nahīñ are miyāñ nahīñ
jo hai 'arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin
wo yahan bhi hai wo wahan bhi hai wo kahin nahin wo kahan nahin
ye nasib tere shahid ka ki kamal-e-shauq tha did ka
jo gila bhi hai to wo tar nahin jo chhuri bhi har to rawan nahin
main wo sarw-e-bagh-e-wajud hun main wo gul hun sham'-e-hayat ka
jise fasl-e-gul ki KHushi nahin jise ranj-e-baad-e-KHizan nahin
jo uThe to sina ubhaar kar jo chale to Thokaren mar kar
nae aap hi to jawan hain koi kya jahan mein jawan nahin
kidhar uD gaya mera qafila ki zamin phaT ke sama gaya
na ghubar uTha na jaras baja kahin naqsh-e-pa ka nishan nahin
ye mai-e-farng ki kashtiyan bhi safina-ha-e-najat hain
kabhi us ka beDa na par ho jo murid-e-pir-e-mughan nahin
uTho 'qadr' un pe na jaan do aji jaan hai to jahan hai
koi kaam aisa bhi karta hai are miyan nahin are miyan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.