jo hai chashma use sarāb karo
shahr-e-tishna meñ inqalāb karo
muskurāne kā fan to ba.ad kā hai
pahle saa.at kā intiḳhāb karo
ab ke ta.abīr mas.ala na rahe
ye jo duniyā hai is ko ḳhvāb karo
aur pakne do ishq kī miTTī
paar ujlat meñ mat chanāb karo
ahd-e-nau ke ajab taqāze haiñ
jo hai ḳhushbū use gulāb karo
yuuñ ḳhushī kī havas na jā.egī
ek ik ġham ko be-naqāb karo
harsingāroñ se boltī hai zamīñ
ab kī rut meñ mujhe kitāb karo
pahle pūchho savāl apne ta.iiñ
phir ḳhalā se talab javāb karo
jo hai chashma use sarab karo
shahr-e-tishna mein inqalab karo
muskurane ka fan to baad ka hai
pahle saat ka intiKHab karo
ab ke tabir masala na rahe
ye jo duniya hai is ko KHwab karo
aur pakne do ishq ki miTTi
par ujlat mein mat chanab karo
ahd-e-nau ke ajab taqaze hain
jo hai KHushbu use gulab karo
yun KHushi ki hawas na jaegi
ek ek gham ko be-naqab karo
harsingaron se bolti hai zamin
ab ki rut mein mujhe kitab karo
pahle puchho sawal apne tain
phir KHala se talab jawab karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.