jo hai makan wahi la-makan niklega
jo hai makān vahī lā-makān niklegā
zamīñ tale bhī koī āsmān niklegā
akelā dhuup ke lashkar meñ ghir gayā pāgal
jo sochtā thā koī sā.ebān niklegā
ye jin jo kaam kā daftar ke aa gayā mujh par
badan ko sauñp ke merī takān niklegā
koī to hai jo sadā hai mire ta.āqub meñ
adū nahīñ to koī mehrbān niklegā
jo jāntā thā mujhe mujh se bhī zarā baḌh kar
kise ḳhabar thī vahī bad-gumān niklegā
jo hai makan wahi la-makan niklega
zamin tale bhi koi aasman niklega
akela dhup ke lashkar mein ghir gaya pagal
jo sochta tha koi saeban niklega
ye jin jo kaam ka daftar ke aa gaya mujh par
badan ko saunp ke meri takan niklega
koi to hai jo sada hai mere taaqub mein
adu nahin to koi mehrban niklega
jo jaanta tha mujhe mujh se bhi zara baDh kar
kise KHabar thi wahi bad-guman niklega
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.