jo hamein chahe uske chaakir hain
jo hameñ chāhe us ke chākir haiñ
yār-e-shātir na bār-e-ḳhātir haiñ
yaad hai ham se pyaar se kahnā
tujh se ham sab tarah se hāzir haiñ
dil uThāveñge tujh se tā-maqdūr
sabr karne pe go na qādir haiñ
yaar o āshiq baham muāfiq hoñ
ittifāq aise shāz-o-nādir haiñ
vasl kī bin na aa.ī kuchh tadbīr
ham se kam āshiqoñ meñ bad-bir haiñ
kuchh qusūr apnī bandagī meñ nahīñ
bandagī se agar muqassir haiñ
'hasrat' ishq-e-butāñ se maañg amaañ
jitne haiñ sab ye saḳht kāfir haiñ
jo hamein chahe us ke chaakir hain
yar-e-shatir na bar-e-KHatir hain
yaad hai hum se pyar se kahna
tujh se hum sab tarah se hazir hain
dil uThawenge tujh se ta-maqdur
sabr karne pe go na qadir hain
yar o aashiq baham muafiq hon
ittifaq aise shaz-o-nadir hain
wasl ki bin na aai kuchh tadbir
hum se kam aashiqon mein bad-bir hain
kuchh qusur apni bandagi mein nahin
bandagi se agar muqassir hain
'hasrat' ishq-e-butan se mang aman
jitne hain sab ye saKHt kafir hain
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.