jo hazrat-e-shaiKH farmaen mohabbat
jo hazrat-e-shaiḳh farmā.eñ mohabbat
sabhī ko ḳhuub samjhā.eñ mohabbat
zarūrī to nahīñ ham zindagī meñ
mohabbat kā samar paa.eñ mohabbat
mujhe gherā huā hai nafratoñ ne
na daa.eñ hai na hai baa.eñ mohabbat
hamārā mashvara hai har kisī ko
ki nafrat bech kar laa.eñ mohabbat
mujhe hāthoñ ko un ke chūmnā hai
vo ḳhush haiñ ki jo jo paa.eñ mohabbat
nahīñ gar lāzmī to iḳhtiyārī
nayā mazmūn rakhvā.eñ mohabbat
vo jis ke gaal pe chhoTā sā til hai
usī laḌkī ko samjhā.eñ mohabbat
zamīn-o-āsmāñ ko chhān maarā
kahāñ se DhūñD kar laa.eñ mohabbat
chalo ham jā ke dillī meñ raheñ ab
ugā.eñ pyaar aur khā.eñ mohabbat
jo hazrat-e-shaiKH farmaen mohabbat
sabhi ko KHub samjhaen mohabbat
zaruri to nahin hum zindagi mein
mohabbat ka samar paen mohabbat
mujhe ghera hua hai nafraton ne
na daen hai na hai baen mohabbat
hamara mashwara hai har kisi ko
ki nafrat bech kar laen mohabbat
mujhe hathon ko un ke chumna hai
wo KHush hain ki jo jo paen mohabbat
nahin gar lazmi to iKHtiyari
naya mazmun rakhwaen mohabbat
wo jis ke gal pe chhoTa sa til hai
usi laDki ko samjhaen mohabbat
zamin-o-asman ko chhan mara
kahan se DhunD kar laen mohabbat
chalo hum ja ke dilli mein rahen ab
ugaen pyar aur khaen mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.