jo hirs mein paDe hain KHasara uThaenge
jo hirs meñ paḌe haiñ ḳhasāra uThā.eñge
ham kahkashāñ se ek sitāra uThā.eñge
ham ko batā.eñ kis pe khulā hai dar-e-hayāt
varna yahī savāl dubāra uThā.eñge
ham ahl-e-'ishq lā.eñge nīlām ghar se phuul
kūza-garoñ ko dekhnā gaarā uThā.eñge
le aao apne sard ravayye kī gaThḌiyāñ
mumkin huā to bojh ye saarā uThā.eñge
baiThe haiñ ye jo taak meñ ik roz dekhnā
pheñkā huā ḳhayāl hamārā uThā.eñge
jo hirs mein paDe hain KHasara uThaenge
hum kahkashan se ek sitara uThaenge
hum ko bataen kis pe khula hai dar-e-hayat
warna yahi sawal dubara uThaenge
hum ahl-e-'ishq laenge nilam ghar se phul
kuza-garon ko dekhna gara uThaenge
le aao apne sard rawayye ki gaThDiyan
mumkin hua to bojh ye sara uThaenge
baiThe hain ye jo tak mein ek roz dekhna
phenka hua KHayal hamara uThaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.