jo ho ek bar wo har bar ho aisa nahin hota
jo ho ik baar vo har baar ho aisā nahīñ hotā
hamesha ek hī se pyaar ho aisā nahīñ hotā
har ik kashtī kā apnā tajraba hotā hai dariyā meñ
safar meñ roz hī mañjdhār ho aisā nahīñ hotā
kahānī meñ to kirdāroñ ko jo chāhe banā diije
haqīqat bhī kahānī-kār ho aisā nahīñ hotā
kahīñ to koī hogā jis ko apnī bhī zarūrat ho
har ik baazī meñ dil kī haar ho aisā nahīñ hotā
sikhā detī haiñ chalnā Thokareñ bhī rāhgīroñ ko
koī rasta sadā dushvār ho aisā nahīñ hotā
jo ho ek bar wo har bar ho aisa nahin hota
hamesha ek hi se pyar ho aisa nahin hota
har ek kashti ka apna tajraba hota hai dariya mein
safar mein roz hi manjdhaar ho aisa nahin hota
kahani mein to kirdaron ko jo chahe bana dije
haqiqat bhi kahani-kar ho aisa nahin hota
kahin to koi hoga jis ko apni bhi zarurat ho
har ek bazi mein dil ki haar ho aisa nahin hota
sikha deti hain chalna Thokaren bhi rahgiron ko
koi rasta sada dushwar ho aisa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.