jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi
jo ho sake to mire dil ab ik vo qissa bhī
zarā sunā ki hai kuchh zikr jis meñ terā bhī
kabhī safar hī safar meñ jo umr-e-rafta kī samt
palaT ke dekhā to uḌtī thī gard-e-fardā bhī
baḌe salīqe se duniyā ne mere dil ko diye
vo ghaao jin meñ thā sachchā.iyoñ kā charkā bhī
kisī kī ruuh se thā rabt aur apne hisse meñ thī
vo be-kalī jo hai mauj-e-zamāñ kā hissa bhī
ye āñkheñ hañstī vafā.eñ ye palkeñ jhukte ḳhulūs
kuchh is se baḌh ke kisī ne kisī ko samjhā bhī
ye rasm hāsil-e-duniyā hai ik ye rasm-e-sulūk
hazār is meñ sahī nafratoñ kā iimā bhī
diloñ kī aañch se thā barf kī siloñ pe kabhī
siyāh sāñsoñ meñ luthḌā huā pasīna bhī
mujhe Dhakī-chhupī in būjhī uljhanoñ se milā
jachī-tulī huī ik saañs kā bharosā bhī
kabhī kabhī inhī alhaḌ havāoñ meñ 'amjad'
sunā hai duur ke ik des kā sandesā bhī
jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi
zara suna ki hai kuchh zikr jis mein tera bhi
kabhi safar hi safar mein jo umr-e-rafta ki samt
palaT ke dekha to uDti thi gard-e-farda bhi
baDe saliqe se duniya ne mere dil ko diye
wo ghao jin mein tha sachchaiyon ka charka bhi
kisi ki ruh se tha rabt aur apne hisse mein thi
wo be-kali jo hai mauj-e-zaman ka hissa bhi
ye aankhen hansti wafaen ye palken jhukte KHulus
kuchh is se baDh ke kisi ne kisi ko samjha bhi
ye rasm hasil-e-duniya hai ek ye rasm-e-suluk
hazar is mein sahi nafraton ka ima bhi
dilon ki aanch se tha barf ki silon pe kabhi
siyah sanson mein luthDa hua pasina bhi
mujhe Dhaki-chhupi in bujhi uljhanon se mila
jachi-tuli hui ek sans ka bharosa bhi
kabhi kabhi inhi alhaD hawaon mein 'amjad'
suna hai dur ke ek des ka sandesa bhi
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 409)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.