jo hoga sab Thik hi hoga hone do jo hona hai
jo hogā sab Thiik hī hogā hone do jo honā hai
muñh dekhe kī bāteñ haiñ sab kis ne kis ko ronā hai
dil kis se dukh bāñTe apnā kis se apnī baat kahe
dil hī hai ik jis ne yaaro dard mukammal Dhonā hai
ham bhī miTTī tum bhī miTTī putle haiñ sab miTTī ke
avval miTTī āḳhir miTTī miTTī hī meñ sonā hai
mil kar baiTheñ nafrat chhoḌeñ pyaar vafā kī baat kareñ
bāġh-e-vafā meñ ham ne yaaro biij ulfat kā bonā hai
aisā kaam kareñ kyuuñ 'āzim' jis ko kar ke pachhtā.eñ
pahle daaġh lagā.eñ kyuuñ ham jab ashkoñ se dhonā hai
jo hoga sab Thik hi hoga hone do jo hona hai
munh dekhe ki baaten hain sab kis ne kis ko rona hai
dil kis se dukh banTe apna kis se apni baat kahe
dil hi hai ek jis ne yaro dard mukammal Dhona hai
hum bhi miTTi tum bhi miTTi putle hain sab miTTi ke
awwal miTTi aaKHir miTTi miTTi hi mein sona hai
mil kar baiThen nafrat chhoDen pyar wafa ki baat karen
bagh-e-wafa mein hum ne yaro bij ulfat ka bona hai
aisa kaam karen kyun 'azim' jis ko kar ke pachhtaen
pahle dagh lagaen kyun hum jab ashkon se dhona hai
- Book : Aaghaz (Pg. 33)
- Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli
- Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (january 1998)
- Edition : january 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.