jo husn-o-ishq se amn-o-aman mein rahte hain
jo husn-o-ishq se amn-o-amāñ meñ rahte haiñ
kahāñ ke log haiñ vo kis jahāñ meñ rahte haiñ
kalām-e-pāk meñ hai zikr-e-hazrat-e-yūsuf
ye husn-o-ishq har ik dāstāñ meñ rahte haiñ
ilāhī ab se hasīnoñ ko mehrbān banā
ki tere bande unhīñ kī amaañ meñ rahte haiñ
tumhīñ to ho vo jo dard-o-alam meñ rakhte ho
hamīñ to haiñ vo jo āh-o-fuġhāñ meñ rahte haiñ
mujhe to aap se matlab hai chāñd sūraj kaun
vo un ko chāheñge jo āsmāñ meñ rahte haiñ
kidhar kidhar ke chale aate haiñ ye be-vahdat
kahāñ kahāñ ke tumhāre makāñ meñ rahte haiñ
umiid rañj alam zabt dard sabr qalaq
ye sab hamāre dil-e-nā-tavāñ meñ rahte haiñ
hazāroñ kaam haiñ aise bhī dekh ai ġhāfil
ki ba.ad marg bhī log is jahāñ meñ rahte haiñ
ḳhudā samajh le lagāne bujhāne vāloñ ko
ye ḳhvāh-maḳhvāh yahāñ meñ vahāñ meñ rahte haiñ
ishāre aap kī abrū ke koī kyā jaane
ki kitne zahr ke tiir is kamāñ meñ rahte haiñ
hamārī ḳhaas taraqqī hai ḳhāna-vīrānī
kabhī makāñ meñ the ab lā-makāñ meñ rahte haiñ
agar samajh hai to dil de ke lutf-e-zīst uThā
hazār fā.ede us ik ziyāñ meñ rahte haiñ
ḳhayāl-e-dost meñ rahte haiñ ai safī' jab tak
to is jahāñ meñ na ham us jahāñ meñ rahte haiñ
jo husn-o-ishq se amn-o-aman mein rahte hain
kahan ke log hain wo kis jahan mein rahte hain
kalam-e-pak mein hai zikr-e-hazrat-e-yusuf
ye husn-o-ishq har ek dastan mein rahte hain
ilahi ab se hasinon ko mehrban bana
ki tere bande unhin ki aman mein rahte hain
tumhin to ho wo jo dard-o-alam mein rakhte ho
hamin to hain wo jo aah-o-fughan mein rahte hain
mujhe to aap se matlab hai chand suraj kaun
wo un ko chahenge jo aasman mein rahte hain
kidhar kidhar ke chale aate hain ye be-wahdat
kahan kahan ke tumhaare makan mein rahte hain
umid ranj alam zabt dard sabr qalaq
ye sab hamare dil-e-na-tawan mein rahte hain
hazaron kaam hain aise bhi dekh ai ghafil
ki baad marg bhi log is jahan mein rahte hain
KHuda samajh le lagane bujhane walon ko
ye KHwah-maKHwah yahan mein wahan mein rahte hain
ishaare aap ki abru ke koi kya jaane
ki kitne zahr ke tir is kaman mein rahte hain
hamari KHas taraqqi hai KHana-virani
kabhi makan mein the ab la-makan mein rahte hain
agar samajh hai to dil de ke lutf-e-zist uTha
hazar faede us ek ziyan mein rahte hain
KHayal-e-dost mein rahte hain ai safi' jab tak
to is jahan mein na hum us jahan mein rahte hain
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 209)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.