jo jalwa zar-e-husn tha wo dil nahin raha
jo jalva zār-e-husn thā vo dil nahīñ rahā
ā.īna to hai jauhar-e-qābil nahīñ rahā
maiñ lutf-e-iltifāt ke qābil nahīñ rahā
phir bhī to mujh se vo kabhī ġhāfil nahīñ rahā
vo aur mujh se tark-e-ta.alluq nahīñ nahīñ
mere hī dil meñ jazba-e-sīmīñ nahīñ rahā
uThtī thī jis se mauj-e-talab par nafas ke saath
vo josh-e-be-qarārī-e-sā.il nahīñ rahā
ġham hī magar nasīb kahāñ ab nashāt-e-ġham
'kaukab' vo rañg valvala-e-dil nahīñ rahā
jo jalwa zar-e-husn tha wo dil nahin raha
aaina to hai jauhar-e-qabil nahin raha
main lutf-e-iltifat ke qabil nahin raha
phir bhi to mujh se wo kabhi ghafil nahin raha
wo aur mujh se tark-e-talluq nahin nahin
mere hi dil mein jazba-e-simin nahin raha
uThti thi jis se mauj-e-talab par nafas ke sath
wo josh-e-be-qarari-e-sail nahin raha
gham hi magar nasib kahan ab nashat-e-gham
'kaukab' wo rang walwala-e-dil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.