jo javāboñ se bhare the vo savālī ho ga.e
āḳhirash to saare bartan phir se ḳhālī ho ga.e
apnī miTTī meñ dabe jo uTh na paa.e vo kabhī
dūsroñ meñ jo uge vo lā-zavālī ho ga.e
na thī ḳhvāboñ kī mire ashkāl na paikar koī
terī āñkhoñ se jo guzre to ġhazālī ho ga.e
pankhuḌī jab band thī to thā zar-e-gul rā.egāñ
aur kholī pankhuḌī to Daalī Daalī ho ga.e
haiñ parinde bhī pareshāñ phuul patte bhī dukhī
baaġh ujāḌā thā jinhoñ ne vo hī maalī ho ga.e
rah ga.e vo be-nishāñ jo rāh-e-rasmī pe chale
jin kī rāheñ thī alag vo sab misālī ho ga.e
jo jawabon se bhare the wo sawali ho gae
aaKHirash to sare bartan phir se KHali ho gae
apni miTTi mein dabe jo uTh na pae wo kabhi
dusron mein jo uge wo la-zawali ho gae
na thi KHwabon ki mere ashkal na paikar koi
teri aankhon se jo guzre to ghazali ho gae
pankhuDi jab band thi to tha zar-e-gul raegan
aur kholi pankhuDi to Dali Dali ho gae
hain parinde bhi pareshan phul patte bhi dukhi
bagh ujaDa tha jinhon ne wo hi mali ho gae
rah gae wo be-nishan jo rah-e-rasmi pe chale
jin ki rahen thi alag wo sab misali ho gae
Source :
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.