Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo jhuk ke milte the jalson mein mehrban ki tarah

Badnam Nazar

jo jhuk ke milte the jalson mein mehrban ki tarah

Badnam Nazar

MORE BYBadnam Nazar

    jo jhuk ke milte the jalsoñ meñ mehrbāñ tarah

    hue haiñ sar pe musallat vo āsmāñ tarah

    mujhe jo kholo to sāhil qarīb kar dūñgā

    samundaroñ meñ maiñ rahtā huuñ bādbāñ tarah

    tumhāre shahr ke jabrī nizām meñ kuchh log

    kabhī hañse bhī to āvāz thī fuġhāñ tarah

    hai tez dhuup safar lambā par tumhārī yaad

    hai ek saaya mire sar pe sā.ebāñ tarah

    na koī patta harā hai na koī phuul khilā

    bahār bhī mire ghar aa.ī hai ḳhizāñ tarah

    na saaf zehn na chehre ke ḳhāl-o-ḳhat raushan

    fazāoñ meñ hai har ik shai dhuāñ dhuāñ tarah

    jahāñ bhī jā.ūñ maiñ vo dasht ho ki dariyā ho

    du'ā.eñ maañ chaleñ saath pāsbāñ tarah

    'nazar' ke naam ik shaḳhs kuchh junūnī

    akelā dasht meñ chaltā hai kārvāñ tarah

    jo jhuk ke milte the jalson mein mehrban ki tarah

    hue hain sar pe musallat wo aasman ki tarah

    mujhe jo kholo to sahil qarib kar dunga

    samundaron mein main rahta hun baadban ki tarah

    tumhaare shahr ke jabri nizam mein kuchh log

    kabhi hanse bhi to aawaz thi fughan ki tarah

    hai tez dhup safar lamba par tumhaari yaad

    hai ek saya mere sar pe saeban ki tarah

    na koi patta hara hai na koi phul khila

    bahaar bhi mere ghar aai hai KHizan ki tarah

    na saf zehn na chehre ke KHal-o-KHat raushan

    fazaon mein hai har ek shai dhuan dhuan ki tarah

    jahan bhi jaun main wo dasht ho ki dariya ho

    du'aen man ki chalen sath pasban ki tarah

    'nazar' ke nam ka ek shaKHs kuchh jununi sa

    akela dasht mein chalta hai karwan ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now