jo junun tha so wo ab nahin
jo junūñ thā so vo ab nahīñ
mujhe ab tumhārī talab nahīñ
tujhe kyā ḳhabar mire haal kī
jo kahā tujhe vahī sab nahīñ
ye alag ki tujh ko sadā na deñ
hameñ yaad varna tū kab nahīñ
maiñ ḳhushī meñ ghir ke udaas huuñ
koī aur is kā sabab nahīñ
jo junun tha so wo ab nahin
mujhe ab tumhaari talab nahin
tujhe kya KHabar mere haal ki
jo kaha tujhe wahi sab nahin
ye alag ki tujh ko sada na den
hamein yaad warna tu kab nahin
main KHushi mein ghir ke udas hun
koi aur is ka sabab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.