jo kaha wo nahin kiya usne
jo kahā vo nahīñ kiyā us ne
vo kiyā jo nahīñ kahā us ne
apnā muḳhtār ho gayā thā maiñ
apnā muhtāj kar liyā us ne
muñh ke bal gir paḌī nigāh mirī
apnā chehra ghumā liyā us ne
sirf sketch hī banā ke diyā
rang koī nahīñ bharā us ne
mujh se mā'mūlī she'r likhvā kar
ḳhud ko mash.hūr kar liyā us ne
ek din mere naam ke uupar
dūsrā naam likh diyā us ne
jo kaha wo nahin kiya us ne
wo kiya jo nahin kaha us ne
apna muKHtar ho gaya tha main
apna muhtaj kar liya us ne
munh ke bal gir paDi nigah meri
apna chehra ghuma liya us ne
sirf sketch hi bana ke diya
rang koi nahin bhara us ne
mujh se ma'muli she'r likhwa kar
KHud ko mashhur kar liya us ne
ek din mere nam ke upar
dusra nam likh diya us ne
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 113)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.