jo kahin tha hi nahin usko kahin DhunDhna tha
jo kahīñ thā hī nahīñ us ko kahīñ DhūñDhnā thā
ham ko ik vahm ke jañgal meñ yaqīñ DhūñDhnā thā
pahle ta.amīr hameñ karnā thā achchhā sā makāñ
phir makāñ ke liye achchhā sā makīñ DhūñDhnā thā
sab ke sab DhūñDte phirte the use ban ke hujūm
jis ko apne meñ kahīñ apne ta.iiñ DhūñDhnā thā
justujū kā ik ajab silsila tā-umr rahā
ḳhud ko khonā thā kahīñ aur kahīñ DhūñDhnā thā
niiñd ko DhūñD ke laane kī davā.eñ thiiñ bahut
kaam mushkil to koī ḳhvāb hasīñ DhūñDhnā thā
dil bhī bachche kī tarah zid pe aḌā thā apnā
jo jahāñ thā hī nahīñ us ko vahīñ DhūñDhnā thā
ham bhī jiine ke liye thoḌā sukūñ thoḌā sā chain
DhūñD sakte the magar ham ko nahīñ DhūñDhnā thā
jo kahin tha hi nahin us ko kahin DhunDhna tha
hum ko ek wahm ke jangal mein yaqin DhunDhna tha
pahle tamir hamein karna tha achchha sa makan
phir makan ke liye achchha sa makin DhunDhna tha
sab ke sab DhunDte phirte the use ban ke hujum
jis ko apne mein kahin apne tain DhunDhna tha
justuju ka ek ajab silsila ta-umr raha
KHud ko khona tha kahin aur kahin DhunDhna tha
nind ko DhunD ke lane ki dawaen thin bahut
kaam mushkil to koi KHwab hasin DhunDhna tha
dil bhi bachche ki tarah zid pe aDa tha apna
jo jahan tha hi nahin us ko wahin DhunDhna tha
hum bhi jine ke liye thoDa sukun thoDa sa chain
DhunD sakte the magar hum ko nahin DhunDhna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.