jo KHat kitabon se tere nikalta hun main
jo ḳhat kitāboñ se tere nikāltā huuñ maiñ
samajh le zaḳhm-e-mohabbat ujāltā huuñ maiñ
laboñ pe shikva na lā.ūñgā aañkh meñ aañsū
tirī har ek nishānī sañbhāltā huuñ maiñ
maiñ dard-e-dil kī davā pūchhtā huuñ logoñ se
jahāñ meñ ye to nahīñ ġham uchhāltā huuñ maiñ
bapā ho hashr zamāne meñ gar nikālūñ maiñ
jo rog dil meñ mohabbat kā pāltā huuñ maiñ
sadā jo diid kī hasrat taḌaptī hai 'sāqib'
use bhī va.ada-e-fardā pe Tāltā huuñ maiñ
jo KHat kitabon se tere nikalta hun main
samajh le zaKHm-e-mohabbat ujalta hun main
labon pe shikwa na launga aankh mein aansu
teri har ek nishani sanbhaalta hun main
main dard-e-dil ki dawa puchhta hun logon se
jahan mein ye to nahin gham uchhaalta hun main
bapa ho hashr zamane mein gar nikalun main
jo rog dil mein mohabbat ka palta hun main
sada jo did ki hasrat taDapti hai 'saqib'
use bhi wada-e-farda pe Talta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.