Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo KHayal the na qayas the wahi log mujhse bichhaD gae

Aitbar Sajid

jo KHayal the na qayas the wahi log mujhse bichhaD gae

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    jo ḳhayāl the na qayās the vahī log mujh se bichhaḌ ga.e

    jo mohabbatoñ asaas the vahī log mujh se bichhaḌ ga.e

    jinheñ māntā nahīñ ye dil vahī log mere haiñ ham-safar

    mujhe har tarah se jo raas the vahī log mujh se bichhaḌ ga.e

    mujhe lamha-bhar rafāqatoñ ke sarāb aur satā.eñge

    mirī umr-bhar jo pyaas the vahī log mujh se bichhaḌ ga.e

    ye ḳhayāl saare haiñ aarzī ye gulāb saare haiñ kāġhzī

    gul-e-ārzū jo baas the vahī log mujh se bichhaḌ ga.e

    jinheñ kar sakā na qubūl maiñ vo sharīk-e-rāh-e-safar hue

    jo mirī talab mirī aas the vahī log mujh se bichhaḌ ga.e

    mirī dhaḌkanoñ ke qarīb the mirī chaah the mirā ḳhvāb the

    vo jo roz-o-shab mire paas the vahī log mujh se bichhaḌ ga.e

    jo KHayal the na qayas the wahi log mujh se bichhaD gae

    jo mohabbaton ki asas the wahi log mujh se bichhaD gae

    jinhen manta hi nahin ye dil wahi log mere hain ham-safar

    mujhe har tarah se jo ras the wahi log mujh se bichhaD gae

    mujhe lamha-bhar ki rafaqaton ke sarab aur sataenge

    meri umr-bhar ki jo pyas the wahi log mujh se bichhaD gae

    ye KHayal sare hain aarzi ye gulab sare hain kaghzi

    gul-e-arzu ki jo bas the wahi log mujh se bichhaD gae

    jinhen kar saka na qubul main wo sharik-e-rah-e-safar hue

    jo meri talab meri aas the wahi log mujh se bichhaD gae

    meri dhaDkanon ke qarib the meri chah the mera KHwab the

    wo jo roz-o-shab mere pas the wahi log mujh se bichhaD gae

    Source :
    • Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 17)
    • Author : Aitabar Sajid
    • Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009)
    • Edition : 2007,2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now