jo khili chaman mein nai kali to wo jashn-e-saut-o-sada hua
jo khili chaman mein nai kali to wo jashn-e-saut-o-sada hua
Manzoor Hashmi
MORE BYManzoor Hashmi
jo khilī chaman meñ na.ī kalī to vo jashn-e-saut-o-sadā huā
kahīñ bulbuleñ huiiñ naġhma-zan kahīñ raqs-e-bād-e-sabā huā
koī phuul ḳhushbū se chuur sā koī rañg halqa-e-nūr sā
koī husn ġhairat-e-hūr sā tire naam saarā likhā huā
vo bichhaḌ gayā to pata chalā ki thā saḳht kitnā ye hādisa
gayā nuur jaise charāġh kā ki badan se aks judā huā
jo savār rāh-e-ziyāñ ke the kahīñ naam ab ke na kar sake
na junūñ meñ surḳh huī zamīñ na sukūñ meñ dasht harā huā
mirī jañg mere hī saath thī ki harīf bhī thā halīf bhī
kabhī dostoñ meñ ghirā huā kabhī dushmanoñ se milā huā
vo havā chalī ki mire chaman hue raakh aur dhuveñ ke ban
ki hare shajar bhī sulag uThe ye bharī bahār meñ kyā huā
jo khili chaman mein nai kali to wo jashn-e-saut-o-sada hua
kahin bulbulen huin naghma-zan kahin raqs-e-baad-e-saba hua
koi phul KHushbu se chur sa koi rang halqa-e-nur sa
koi husn ghairat-e-hur sa tere nam sara likha hua
wo bichhaD gaya to pata chala ki tha saKHt kitna ye hadisa
gaya nur jaise charagh ka ki badan se aks juda hua
jo sawar rah-e-ziyan ke the kahin nam ab ke na kar sake
na junun mein surKH hui zamin na sukun mein dasht hara hua
meri jang mere hi sath thi ki harif bhi tha halif bhi
kabhi doston mein ghira hua kabhi dushmanon se mila hua
wo hawa chali ki mere chaman hue rakh aur dhuwen ke ban
ki hare shajar bhi sulag uThe ye bhari bahaar mein kya hua
- Book : Sukhan Aabaad (Pg. 8)
- Author : Manzoor Hashmi
- Publication : Manzoor Hashmi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.