jo KHud udas ho wo kya KHushi luTaega
jo ḳhud udaas ho vo kyā ḳhushī luTā.egā
bujhe diye se diyā kis tarah jalā.egā
kamān ḳhush hai ki tiir us kā kāmyāb rahā
malāl bhī hai ki ab lauT ke na aa.egā
vo band kamre ke gamle kā phuul hai yaaro
vo mausamoñ kā bhalā haal kyā batā.egā
maiñ jāntā huuñ tire ba.ad merī āñkhoñ meñ
bahut dinoñ tirā ehsās jhilmilā.egā
tum us ko apnā samajh to rahe ho 'nāz' magar
bharam bharam hai kisī roz TuuT jā.egā
jo KHud udas ho wo kya KHushi luTaega
bujhe diye se diya kis tarah jalaega
kaman KHush hai ki tir us ka kaamyab raha
malal bhi hai ki ab lauT ke na aaega
wo band kamre ke gamle ka phul hai yaro
wo mausamon ka bhala haal kya bataega
main jaanta hun tere baad meri aankhon mein
bahut dinon tera ehsas jhilmilaega
tum us ko apna samajh to rahe ho 'naz' magar
bharam bharam hai kisi roz TuT jaega
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 653)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.