jo KHush-nasib huzuri mein ja nikalta hai
jo ḳhush-nasīb huzūrī meñ jā nikaltā hai
laboñ se naġhma-e-sall-e-alā nikaltā hai
mohabbatoñ kā ajab shahr hai madīna bhī
har ek shaḳhs jahāñ āshnā nikaltā hai
nigāh-e-shauq ko miltā hai izn-e-goyā.ī
ḳhamoshiyoñ meñ bhī ik mudda.ā nikaltā hai
ajab muraqqā-e-dilkash hai yād-e-shahr-e-nabī
hazār rang jahāñ na.at kā nikaltā hai
bikher detā hai qirtās par guhar-pāre
qalam se jab mire harf-e-sanā nikaltā hai
janāb-e-rahmat-e-ālam kā faiz hai 'hāfiz'
har ek sher se mazmūñ nayā nikaltā hai
jo KHush-nasib huzuri mein ja nikalta hai
labon se naghma-e-sall-e-ala nikalta hai
mohabbaton ka ajab shahr hai madina bhi
har ek shaKHs jahan aashna nikalta hai
nigah-e-shauq ko milta hai izn-e-goyai
KHamoshiyon mein bhi ek muddaa nikalta hai
ajab muraqqa-e-dilkash hai yaad-e-shahr-e-nabi
hazar rang jahan nat ka nikalta hai
bikher deta hai qirtas par guhar-pare
qalam se jab mere harf-e-sana nikalta hai
janab-e-rahmat-e-alam ka faiz hai 'hafiz'
har ek sher se mazmun naya nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.