jo ki zeb-e-salib-o-dar hue
jo ki zeb-e-salīb-o-dār hue
donoñ aalam kā shāhkār hue
dil ko taskīñ ho kis tarah ki tujhe
aur bhī mil ke be-qarār hue
koī pūchhe to kyā batā.eñ ki ham
ishq meñ kyoñ zalīl-o-ḳhvār hue
jab ḳhulūs-o-vafā kī baat chalī
mere ahbāb sharmsār hue
jā.ūñgā sū-e-kū-e-rusvā.ī
jab bhī hālāt sāzgār hue
jo ki zeb-e-salib-o-dar hue
donon aalam ka shahkar hue
dil ko taskin ho kis tarah ki tujhe
aur bhi mil ke be-qarar hue
koi puchhe to kya bataen ki hum
ishq mein kyon zalil-o-KHwar hue
jab KHulus-o-wafa ki baat chali
mere ahbab sharmsar hue
jaunga su-e-ku-e-ruswai
jab bhi haalat sazgar hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.