jo kuchh hai husn mein har mah-laqa ko aish-o-tarab
jo kuchh hai husn mein har mah-laqa ko aish-o-tarab
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
jo kuchh hai husn meñ har mah-laqā ko aish-o-tarab
vahī hai ishq meñ har mubtalā ko aish-o-tarab
agarche ahl-e-navā ḳhush haiñ har tarah lekin
ziyāda un se hai har be-navā ko aish-o-tarab
vo mai-kade meñ halāvat hai riñd-e-mai-kash ko
jo ḳhānqāh meñ hai pārsā ko aish-o-tarab
rakhe hai har tan-e-uryāñ barahna-pā.ī vahī
jo kuchh hai sāhib-e-asp-o-qabā ko aish-o-tarab
kamāl-e-qudrat-e-haq hai 'nazīr' kyā kahiye
jo shaah ko hai vahī hai gadā ko aish-o-tarab
jo kuchh hai husn mein har mah-laqa ko aish-o-tarab
wahi hai ishq mein har mubtala ko aish-o-tarab
agarche ahl-e-nawa KHush hain har tarah lekin
ziyaada un se hai har be-nawa ko aish-o-tarab
wo mai-kade mein halawat hai rind-e-mai-kash ko
jo KHanqah mein hai parsa ko aish-o-tarab
rakhe hai har tan-e-uryan barahna-pai wahi
jo kuchh hai sahib-e-asp-o-qaba ko aish-o-tarab
kamal-e-qudrat-e-haq hai 'nazir' kya kahiye
jo shah ko hai wahi hai gada ko aish-o-tarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.