jo kuchh ki tha wazaif-o-aurad rah gaya
jo kuchh ki thā vazā.if-o-aurād rah gayā
terā hī ek naam faqat yaad rah gayā
zālim tirī nigah ne kiye ghar ke ghar ḳharāb
hogā koī makāñ ki vo ābād rah gayā
jaate haiñ ham-safīr chaman ko par ek maiñ
yaañ kushta-e-taġhāful-e-sayyād rah gayā
juuñ hī do-chār aa ke huā vo nazar-fareb
le kar qalam ko haath meñ bahzād rah gayā
is sarv-e-gul-azār kī tarz-e-ḳhirām dekh
ḳhajlat se gaḌ zamīn meñ shamshād rah gayā
kis kis kā dil na shaad kiyā tū ne ai falak
ik maiñ hī ġham-zada huuñ ki nāshād rah gayā
'bedār' rāh-e-ishq kisī se na tai huī
sahrā meñ qais koh meñ farhād rah gayā
jo kuchh ki tha wazaif-o-aurad rah gaya
tera hi ek nam faqat yaad rah gaya
zalim teri nigah ne kiye ghar ke ghar KHarab
hoga koi makan ki wo aabaad rah gaya
jate hain ham-safir chaman ko par ek main
yan kushta-e-taghaful-e-sayyaad rah gaya
jun hi do-chaar aa ke hua wo nazar-fareb
le kar qalam ko hath mein bahzad rah gaya
is sarw-e-gul-azar ki tarz-e-KHiram dekh
KHajlat se gaD zamin mein shamshad rah gaya
kis kis ka dil na shad kiya tu ne ai falak
ek main hi gham-zada hun ki nashad rah gaya
'bedar' rah-e-ishq kisi se na tai hui
sahra mein qais koh mein farhad rah gaya
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.