jo kuchh ki tu ne sar pe mere dilruba kiya
jo kuchh ki tu ne sar pe mere dilruba kiya
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
jo kuchh ki tū ne sar pe mire dilrubā kiyā
dil hī vo jāntā hai kahūñ kyā maiñ kyā kiyā
mat pūchh āh-e-ishq ke ḳhūbāñ ke kyā kiyā
rusvā kiyā ḳharāb kiyā mubtalā kiyā
yaaro kahe rakhe huuñ maiñ da.avā na kījiyo
qātil ko apne maiñ ne ba-hal ḳhūñ-bahā kiyā
mulzim kiyā hai aah kisī ne mujhe ba-aks
ā.īna-rū kā apne maiñ jis se gila kiyā
ban baiThtā hai muft mire jī kā mudda.ī
iz.hār us se dil kā maiñ jab mudda.ā kiyā
be-mehrī terī kyā kahūñ ai sañg-dil ki chuur
mujh dil kā shīsha tū ne ba-sañg-e-jafā kiyā
us bin na qibla samjhūñ na qibla-numā ko maiñ
qibla use dil apne ko qibla-numā kiyā
maltā hai ai nigār kaf-e-pā kuuñ apne aah
kyā tū ne mere ḳhuun ko rañg-e-hinā kiyā
ye chashm-dāsht tujh se 'jahāñdār' ko na thī
jo ġhair ke liye use tū ne jafā kiyā
jo kuchh ki tu ne sar pe mere dilruba kiya
dil hi wo jaanta hai kahun kya main kya kiya
mat puchh aah-e-ishq ke KHuban ke kya kiya
ruswa kiya KHarab kiya mubtala kiya
yaro kahe rakhe hun main dawa na kijiyo
qatil ko apne main ne ba-hal KHun-baha kiya
mulzim kiya hai aah kisi ne mujhe ba-aks
aaina-ru ka apne main jis se gila kiya
ban baiThta hai muft mere ji ka muddai
izhaar us se dil ka main jab muddaa kiya
be-mehri teri kya kahun ai sang-dil ki chur
mujh dil ka shisha tu ne ba-sang-e-jafa kiya
us bin na qibla samjhun na qibla-numa ko main
qibla use dil apne ko qibla-numa kiya
malta hai ai nigar kaf-e-pa kun apne aah
kya tu ne mere KHun ko rang-e-hina kiya
ye chashm-dasht tujh se 'jahandar' ko na thi
jo ghair ke liye use tu ne jafa kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.