jo kuchh mujhse kamaya ja raha hai
jo kuchh mujh se kamāyā jā rahā hai
mahz ghar kā kirāya jā rahā hai
subūtoñ ko miTāyā jā rahā hai
yuuñ sach kā qad ghaTāyā jā rahā hai
vo patthar se ziyāda kuchh nahīñ hai
to phir sar kyoñ jhukāyā jā rahā hai
nahīñ niyyat madad kī haath phir bhī
baḌhāne ko baḌhāyā jā rahā hai
haqīqat ham se hai muñh pher baiThī
so ḳhvāboñ ko jagāyā jā rahā hai
alag maiñ bhiiḌ se chalne lagī huuñ
mujhe pāgal batāyā jā rahā hai
jo kuchh mujh se kamaya ja raha hai
mahz ghar ka kiraya ja raha hai
subuton ko miTaya ja raha hai
yun sach ka qad ghaTaya ja raha hai
wo patthar se ziyaada kuchh nahin hai
to phir sar kyon jhukaya ja raha hai
nahin niyyat madad ki hath phir bhi
baDhane ko baDhaya ja raha hai
haqiqat hum se hai munh pher baiThi
so KHwabon ko jagaya ja raha hai
alag main bhiD se chalne lagi hun
mujhe pagal bataya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.