jo lab par teri dastan rakh rahe hain
jo lab par tirī dāstāñ rakh rahe haiñ
charāġhoñ kī lau par zabāñ rakh rahe haiñ
hameñ log kahte haiñ ġhaddār yaaro
kahāñ kī ḳhabar hai kahāñ rakh rahe haiñ
vo kyā ḳhaak pahuñcheñge ūñchā.iyoñ par
zamīnoñ pe jo āsmāñ rakh rahe haiñ
hameñ vāpsī kā yaqīñ hai tabhī to
kināre pe ham kashtiyāñ rakh rahe haiñ
diyā ban ke jaltā huuñ maiñ jin kī ḳhātir
vahī raah meñ āñdhiyāñ rakh rahe haiñ
vo ai 'nūr' talvār kaise uThā.eñ
kitāboñ meñ jo titliyāñ rakh rahe haiñ
jo lab par teri dastan rakh rahe hain
charaghon ki lau par zaban rakh rahe hain
hamein log kahte hain ghaddar yaro
kahan ki KHabar hai kahan rakh rahe hain
wo kya KHak pahunchenge unchaiyon par
zaminon pe jo aasman rakh rahe hain
hamein wapsi ka yaqin hai tabhi to
kinare pe hum kashtiyan rakh rahe hain
diya ban ke jalta hun main jin ki KHatir
wahi rah mein aandhiyan rakh rahe hain
wo ai 'nur' talwar kaise uThaen
kitabon mein jo titliyan rakh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.