jo log rah gae hain meri dastan se dur
jo log rah ga.e haiñ mirī dāstāñ se duur
kuchh is jahāñ se duur haiñ kuchh us jahāñ se duur
har dāstān-e-ġham hai mirī dāstāñ se duur
jaise ki koī qais ho āh-o-fuġhāñ se duur
tū gar nahīñ hai paas to kyā rañj mujh ko hai
ye zindagī kahāñ hai tirī dāstāñ se duur
jab tak tire visāl kī sūrat nahīñ koī
jī DhūñDhtā hai ghar koī donoñ jahāñ se duur
hai terī kahkashāñ bhī mirī kahkashāñ ke paas
terā falak kahāñ hai mire āsmāñ se duur
har saañs us ke pyaar ko sajda kiye gayā
'sarvar' kabhī rahā hī nahīñ apnī maañ se duur
jo log rah gae hain meri dastan se dur
kuchh is jahan se dur hain kuchh us jahan se dur
har dastan-e-gham hai meri dastan se dur
jaise ki koi qais ho aah-o-fughan se dur
tu gar nahin hai pas to kya ranj mujh ko hai
ye zindagi kahan hai teri dastan se dur
jab tak tere visal ki surat nahin koi
ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur
hai teri kahkashan bhi meri kahkashan ke pas
tera falak kahan hai mere aasman se dur
har sans us ke pyar ko sajda kiye gaya
'sarwar' kabhi raha hi nahin apni man se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.