jo maine husn ko sajda kiya kyon KHalq hairan hai
jo maine husn ko sajda kiya kyon KHalq hairan hai
Mustafa Husain Nayyar
MORE BYMustafa Husain Nayyar
jo maiñ ne husn ko sajda kiyā kyoñ ḳhalq hairāñ hai
mohabbat merā maz.hab hai mohabbat merā īmāñ hai
mohabbat ek tūfān aur haibatnāk tūfāñ hai
ki jis kī ibtidā meñ intihā kā josh pinhāñ hai
ta.ajjub hai ki ye duniyā mujhe kāfir samajhtī hai
nahīñ ma.alūm use shāyad mohabbat ain īmāñ hai
kahānī hai kahānī hī sahī afsāna-e-ulfat
magar ye vo kahānī hai haqīqat jis meñ pinhāñ hai
jahāñ ko dars-e-ibrat hai merā zauq-e-vafādārī
maiñ us kā dost bantā huuñ jo merā dushman-e-jāñ hai
bhalā dekhā bhī hai marte kisī ko vaqt se pahle
haqīqat meñ qazā hī zindagānī kī nigahbāñ hai
jo main ne husn ko sajda kiya kyon KHalq hairan hai
mohabbat mera mazhab hai mohabbat mera iman hai
mohabbat ek tufan aur haibatnak tufan hai
ki jis ki ibtida mein intiha ka josh pinhan hai
tajjub hai ki ye duniya mujhe kafir samajhti hai
nahin malum use shayad mohabbat ain iman hai
kahani hai kahani hi sahi afsana-e-ulfat
magar ye wo kahani hai haqiqat jis mein pinhan hai
jahan ko dars-e-ibrat hai mera zauq-e-wafadari
main us ka dost banta hun jo mera dushman-e-jaan hai
bhala dekha bhi hai marte kisi ko waqt se pahle
haqiqat mein qaza hi zindagani ki nigahban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.