Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo mariz ishq ke hain un ko shifa hai ki nahin

Waliullah Muhib

jo mariz ishq ke hain un ko shifa hai ki nahin

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    jo marīz ishq ke haiñ un ko shifā hai ki nahīñ

    ai tabīb un bhī duniyā meñ davā hai ki nahīñ

    ḳhūb-rū jitne haiñ aalam meñ jafākār haiñ sab

    yaad kyā jāneñ unheñ taur-e-vafā hai ki nahīñ

    tañg itnā hai zamāna ki chaman meñ gul tak

    sub.h-dam chāk-garebāñ sabā hai ki nahīñ

    mirī be-tābī ke ahvāl ko shab ke us se

    nāma-bar ne zabānī bhī kahā hai ki nahīñ

    zulm hai ye to ki dil lījiye aur rahiye ḳhafā

    kahīñ insāf zamāne meñ rahā hai ki nahīñ

    shaiḳh kahte haiñ mujhe dair na ka.aba chal

    barhaman kahte haiñ kyuuñ yaañ bhī ḳhudā hai ki nahīñ

    apne yāroñ meñ koī ke adam se na phirā

    kyuuñ 'muhib' un ḳhabar laanī bajā hai ki nahīñ

    jo mariz ishq ke hain un ko shifa hai ki nahin

    ai tabib un ki bhi duniya mein dawa hai ki nahin

    KHub-ru jitne hain aalam mein jafakar hain sab

    yaad kya jaanen unhen taur-e-wafa hai ki nahin

    tang itna hai zamana ki chaman mein gul tak

    subh-dam chaak-gareban hi saba hai ki nahin

    meri be-tabi ke ahwal ko shab ke us se

    nama-bar tu ne zabani bhi kaha hai ki nahin

    zulm hai ye to ki dil lijiye aur rahiye KHafa

    kahin insaf zamane mein raha hai ki nahin

    shaiKH kahte hain mujhe dair na ja kaba chal

    barhaman kahte hain kyun yan bhi KHuda hai ki nahin

    apne yaron mein koi ja ke adam se na phira

    kyun 'muhib' un ki KHabar lani baja hai ki nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now