jo mast-e-jam-e-baada-e-irfan na ho saka
jo mast-e-jām-e-bāda-e-irfāñ na ho sakā
vo jānvar hī rah gayā insāñ na ho sakā
jo bhī sharīk-e-mahfil-e-rindāñ na ho sakā
vo bevaqūf kāmil-e-īmāñ na ho sakā
vaa.iz bhī haiñ vo zāt-e-girāmī ki al-hazar
ham-pallā jin kā dahr meñ shaitāñ na ho sakā
fitrat badal sakī na kabhī mere dost kī
lahbaḌ kisī tarah se bhī Toiyāñ na ho sakā
dāmān-e-hashr aa hī gayā kaam hashr meñ
neck-tie ban ga.ī jo girebāñ na ho sakā
insānoñ ke zamīr bike kauḌiyoñ ke mol
ġhalla magar girāñ rahā arzāñ na ho sakā
ye kashmakash zamāne kī allāh kī panāh
jiinā to jiinā marnā bhī āsāñ na ho sakā
vo hoñge kyā kisī se zamāne meñ ham-nabard
jin pāgaloñ se chaak girebāñ na ho sakā
batlā rahī hai shaiḳh kī taqrīr-e-muzmahil
kuchh aaj halve-māñDe kā sāmāñ na ho sakā
eḌī ragaḌ ke najd meñ dīvāna mar gayā
aur us ke naam aloT bayābāñ na ho sakā
rahzan libās-e-rāhbarī meñ na chhup sakā
aalū ne laakh chāhā pe ghuiyāñ na ho sakā
dilchasp ho sakā na kabhī shaiḳh kā bayāñ
kavvā ġharīb murġh-e-ḳhush-alhāñ na ho sakā
ai 'shauq' ronā aatā hai us bad-nasīb par
jo ḳhāk-rūb-e-kūcha-e-jānāñ na ho sakā
jo mast-e-jam-e-baada-e-irfan na ho saka
wo jaanwar hi rah gaya insan na ho saka
jo bhi sharik-e-mahfil-e-rindan na ho saka
wo bewaquf kaamil-e-iman na ho saka
waiz bhi hain wo zat-e-girami ki al-hazar
ham-palla jin ka dahr mein shaitan na ho saka
fitrat badal saki na kabhi mere dost ki
lahbaD kisi tarah se bhi Toiyan na ho saka
daman-e-hashr aa hi gaya kaam hashr mein
neck-tie ban gai jo gireban na ho saka
insanon ke zamir bike kauDiyon ke mol
ghalla magar giran raha arzan na ho saka
ye kashmakash zamane ki allah ki panah
jina to jina marna bhi aasan na ho saka
wo honge kya kisi se zamane mein ham-nabard
jin pagalon se chaak gireban na ho saka
batla rahi hai shaiKH ki taqrir-e-muzmahil
kuchh aaj halwe-manDe ka saman na ho saka
eDi ragaD ke najd mein diwana mar gaya
aur us ke nam aloT bayaban na ho saka
rahzan libas-e-rahbari mein na chhup saka
aalu ne lakh chaha pe ghuiyan na ho saka
dilchasp ho saka na kabhi shaiKH ka bayan
kawwa gharib murgh-e-KHush-alhan na ho saka
ai 'shauq' rona aata hai us bad-nasib par
jo KHak-rub-e-kucha-e-jaanan na ho saka
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.