jo maza apne yar mein dekha
jo mazā apne yaar meñ dekhā
na kabhū vo bahār meñ dekhā
ḳhvāb meñ shab ko sarv dekhā thā
sub.h tujh ko kanār meñ dekhā
na kabhū ham ne dekhā bismil meñ
jo dil-e-be-qarār meñ dekhā
vasl ne ye mazā kahāñ paayā
lutf jo intizār meñ dekhā
lutf-e-gulzār-o-lāla-bāġh 'na.īm'
sīna-e-dāġh-dār meñ dekhā
jo maza apne yar mein dekha
na kabhu wo bahaar mein dekha
KHwab mein shab ko sarw dekha tha
subh tujh ko kanar mein dekha
na kabhu hum ne dekha bismil mein
jo dil-e-be-qarar mein dekha
wasl ne ye maza kahan paya
lutf jo intizar mein dekha
lutf-e-gulzar-o-lala-bagh 'naim'
sina-e-dagh-dar mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.