jo mere dil mein farozan hai shairi ki tarah
jo mere dil meñ farozāñ hai shā.irī kī tarah
maiñ us ko DhūñDhtā phirtā huuñ naukrī kī tarah
jo merī zaat kā iz.hār hai vo lafz abhī
mire laboñ pe sisaktā hai ḳhāmushī kī tarah
havā kā saath na de is nagar baras ke guzar
maiñ be-hayāt huuñ sūkhī huī nadī kī tarah
to lā-zavāl hai be-ma.anavīyatoñ kī misāl
maiñ be-sabāt huuñ māñgī huī hañsī kī tarah
na koī yaad milī hai na koī zaḳhm bharā
'nisār' umr kaTī hai musāfirī kī tarah
jo mere dil mein farozan hai shairi ki tarah
main us ko DhunDhta phirta hun naukri ki tarah
jo meri zat ka izhaar hai wo lafz abhi
mere labon pe sisakta hai KHamushi ki tarah
hawa ka sath na de is nagar baras ke guzar
main be-hayat hun sukhi hui nadi ki tarah
to la-zawal hai be-manawiyaton ki misal
main be-sabaat hun mangi hui hansi ki tarah
na koi yaad mili hai na koi zaKHm bhara
'nisar' umr kaTi hai musafiri ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.